Continuing with the Hyderabadi postings, here’s some interesting lines I came across in one of the Orkut communities (look for the community Hyderabadi Lingo in Orkut)
Woh Charminar Ke Minaaraan,
Aur Woh Niagara Ki Biryani. (paradise no more )
Woh Madina Hotel Ke Chaiyaan,
Aur Woh Azizia ki Qubani.
Woh Pista House Ki Haleem, (trivia1: used to be exported to mid-east, donno now )
Aur Woh Famous Ki Ice Cream.
Woh Santosh Sapna mein Picture Dekhnaa,
Aur Phir Softy Den mein jaa Ke khaana. (trivia2: vanilla cone @ softy 3 rs ,ragda samosa in school canteen - 3.50 rs )
Woh Swapnalok ke baar baar chakkar kaatna, ( export tee shirts ,so they claimed )
Aur Nave Nave Kapde Leke, Pottiyon Ku Patana. ( NASR ,St Anns and Rosary girls high schools.. ring a bell !! )
Woh Perfumaan, Ghadiyaan khareednaa Singapore Market se,
Aur Phir Doston ku bolna, bhai laayaa bahar se.
Woh Jagne Ki Raaton mein, doston se saath ghoomnaa,
Aur aadhi raat mein, roadon pe ke lightaan phodnaa.
Woh dostoon se saath milke Numaish Ki sair,
Aur woh bade bade baataan, jaise ser pe sava ser.
Woh doston ke saath milke ladnaa jhagadnaa,
Aur Woh potti ke liye lade bolke ek bahana.
Woh Baar baar apna purane dina yaad karnaa,
Aur phir khud hi bolnaa, parsooon hi to karne naa woh sab Kaamaaaa.
Aisaich Hai Yaaroon Hum
Haan Bhai, Aisaich Hai Yaarooon Hum.
No comments:
Post a Comment